Sunday 26 August 2012

yadeny

mujhe mili meri pustak main ek purani chitthi
jaise hathon mein aie ho maa ke aqngan ke mitti
usme likha hua tha bitiya kuch din rahne aja
yad bahut karta hai tera pyara bhaiya raja
terl sakhi saheli bhi hain kabhi kabhi ajati
varsha ki boonden garmi main rahat si de jati
kabhi kabhi  tere kamre main bapu hain so jate
 chho chho ke teri cheejon ko ansoo se ro jate
chori mala manke moti pahan ke too jati thi
 dibiya ke chhote shankhon main teri yad mili hai
na jane kitni bachpan ki yaden bikhar gain
anchal main bharte bharte sab dhadkan sihar gai
boond boond akhon se barsa tan man bheeg gaya
chalte chalte mudkar jeevan pal bhar thahr gaya.
maa too hi meri geeta hai too hi ramayan hai
mere shrdha ke ansoo hi mera parayan hain